|
* Ura kar sehn-e-gulshan Se, mita kar aashia’n mera, *
Ura kar sehn-e-gulshan Se, mita kar aashia’n mera,
Mere saaye ke peechhe phir raha hai baagbaa’n mera.
Mire ahbaab pesh aate ham mujh se be-wafaai se,
Wafadaari mei’n sizaaid kar rahe ham imtehaa’n mera.
Tah-o-bala kiya hai gardish-e-aamaal ne mujh ko,
Na dushman hai zamee’n me’n, na dushman aasmaa’n mera.
Safa-e-qalab se, Allah re, insaan ki azmat,
Farishte choomte ham aa ke sang-e-aastaan mera.
Yeh maatam hai musawwar uth gaya gulzaar-e-qudrat ha,
Har ik taair, har ik barg-e-chaman hai noha khwaa’n mera.
Safar mei’n zindagi ke so gaya hu’n thak ke manzil par,
Ajal ke naam se badnaam hal khwaab-e-giraa’n mera.
Aseeri mei’n zabaa’n se meri sun ke raaz-e-aazadi,
Garebaa’n phaar kar san dhun raha hai, paasba’n mera.
ilahi khair ho, kya surguzasht-e-dil sunaaega,
Larzta hai miri aankho’n mei’n kyo’n ashk-e-rawa’n mera.
|
|