donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Brij Narain Chakbast
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil hi bujha hua ho fau iutaf-e-bahaar kya *
Dil hi bujha hua ho fau iutaf-e-bahaar kya
Saqi hai kya, sharaab kya, subza zaar kya?

Yeh dii ki taazgi hai, woh dil ki fasurdagi,
Is gulshan-e-jahan ki khazaa’n kya, bahaar kya?

Dekha saroor-e-baada-e-hasti ka khaatma,
Ab dekhe’n rang laaye ajal ka khumaar kya,

Duniya se le chala jo tu hasrato’n ka bojh,
Kafi nahi’n hai sar pe gunaaho’n ka baar kya?

Baad-e-fana fazul hai naam-o-nisha’n ki fikar,
Jab hum nahi’n rahe tau rahega mazaar kya?

Aamaal ka talism hai nairang-e-zindagi,
Taqdir kya hai, gardish-e-maii-o-nihaar kya?

Insaan ke bughz-o-jihal se duniya tabaah hai,
Toofan utha raha hal, musht-e-ghubaar kya?

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 839