donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Daagh Dehlvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zamaanaa bahut bad-gumaaN ho rahaa hai, *
Zamaanaa bahut bad-gumaaN ho rahaa hai,
kisii shaKhs kaa imtihaaN ho rahaa hai,
suriiilii sadaayeN haiN ek shoKh kii sii,
ilaahii ! ye jalsaa kahaaN ho rahaa hai,
bahut hasrat aatii hai mujh ko ye sun kar,
kisii par ko’ii meh’rbaaN ho rahaa hai,
tire zulm-e-pinhaaN abhii kaun jaane,
faqat aasmaaN aasmaaN ho rahaa hai,
in aaNkhoN ne is dil kaa kyaa bhed kholaa,
ke muztar meraa raazdaaN ho rahaa hai,
sunuuN kyaa Khabar jashn-e-ishrat kaa qaasid ,
jahaaN ho rahaa hai vahaaN ho rahaa hai,
vo haal-e-tabiiyat jo barsoN chhupaayaa,
har ek shaKhs se ab bayaaN ho rahaa hai,
ko’ii uR ke aayaa, ko’ii chhup ke aayaa,
pashemaaN teraa paasbaaN ho rahaa hai,
kahiiN do ghaRii aap shabnam meN soye,
jo ruKh par arq dur-fishaaN ho rahaa hai,
ye behoshiyaaN “Dagh”, ye Khvaab-e-Ghaflat,
Khabar bhii hai jo kuch vahaaN ho rahaa hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 384