donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Daagh Dehlvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kab udaasii payaam hotii hai, *
Kab udaasii payaam hotii hai,
jab muhabbat tamaam hotii hai,
kis ke chehre pe subh jaage hai,
jis kii aaNkhoN meN shaam hotii hai
ishq bantaa hai kis ghaRhii sayyaad,
jab vafaa zer-e-daam hotii hai,
(sayyad : hunter; zer-e-daam : entrapped)
Tiis bantii hai aagahii kaise,
Khud se jab ham-kalaam hotii hai,
(Tiis : throbbing pain; aagahii : gnosis; ham-kalaam : talk with oneself)
kyaa kamii hai talab kii raahoN meN,
guftuguu naa-tamaam hotii hai,
 dil ko bhaatii hai kab sabaa bolo,
jab kisii kaa payaam hotii hai,
(sabaa : morning breeze)
ye muhabbat hai kyaa bataaoge,
Khaas shai hai jo aam hotii hai.
(shai : thing, object)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 429