|
* Ghazab kiya, tere vade pe aitabar kiya *
Ghazab kiya, tere vade pe aitabar kiya,
Tamam raat qayamat ka intezar kiya,
Hansa hansa ke shab-e-vasl ashk-bar kiya,
tasalliya'n mujhe de-de ke beqarar kiya,
Ham aise mahv-e-nazara na the jo hosh ata,
Magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya,
Fasana-e-shab-e-Gham un ko ek kahani thhi,
Kuchh aitabar kiya aur kuchh na-aitabar kiya,
Ye kisne jalva hamare sar-e-mazar kiya,
Ki dil se shor utha, hae! Beqarar kiya,
Tadap phir ai dil-e-nadan, ki Gair kahate hain,
Akhir kuchh na bani, sabr ikhtiyar kiya,
Bhula bhula ke jataya hai unako raz-e-niha'n,
Chhipa chhipa ke mohabbat ko ashakar kiya,
Tumhe'n to vada-e-didar ham se karana tha,
Ye kya kiya ke jaha'n ko ummidavar kiya.
|
|