|
* Kaabe ki hai havas kabhi kuu-e-buta'n ki hai *
Kaabe ki hai havas kabhi kuu-e-buta'n ki hai,
Mujh ko Khabar nahin meri mitti kahan ki hai,
Kuchh tazagi ho lazzat-e-azar ke liye,
Har dam mujhe talash naye asaman ki hai,
Hasarat baras rahi hai mere mazar se,
Kahate hai'n sab ye qabr kisi naujava'n ki hai,
Qasid ki guftaguu se tasalli ho kis tarah,
Chhipati nahi'n vo jo teri zaba'n ki hai,
Sun kar mera fasana-e-Gham us ne ye kaha,
Ho jaye jhuut sach, yahi Khuubi baya'n ki hai,
Kyuu'n kar na ae Khuld se adam zami'n par,
Mauzuun vahin vo Khuub hai, jo shay jahan ki hai,
Urdu hai jiska naam hami'n jante hai'n ‘Dag’,
Hindusta'n me'n dhuum hamari zaba'n ki hai.
|
|