donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Daagh Dehlvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Phir shab-e-Gham ne mujhe shakl dikhaaii kyo’nkar *
Phir shab-e-Gham ne mujhe shakl dikhaaii kyo’nkar
ye balaa ghar se nikaalii huii aaii kyo’nkar

tuu ne kii Ghair se merii buraaii kyo’nkar
gar na thii dil me’n to lab par tere aaii kyo’nkar

tum dilaazaar-o-sitamgar nahii’n mai’n ne maanaa
maan jaayegii ise saarii Khudaaii kyo’nkar

aaiinaa dekh ke vo kahane lage aap hii aap
aise achchho’n kii kare koii buraaii kyo’nkar

kasarat-e-ranj-o-alam sun ke ye ilzaam milaa
itane se dil me’n hai itano’n kii samaaii kyo’nkar

daagh kal tak to duaa aap kii maqabuul na thii
aaj muu’nh maa’ngii muraad aap ne paaii kyo’nkar
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 401