donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Dilawar Figar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jadaa-e-fan me’n bade sakht muqaam aate hai’n *
Jadaa-e-fan me’n bade sakht muqaam aate hai’n 
mar ke rah jaataa hai fankaar amar hone tak

kitne Ghaalib the jo paidaa huye aur mar bhii gaye 
qadradaann ko takhallus ki khabar hone tak

kitne iqbaal rah-e-fikr me’n uthe lekin 
raastaa bhuul gaye Khatm-e-safar hone tak

kitne shabbiir hasan khaan na bane josh kabhii 
mar gaye kitne sikander bhii jigar hone tak

faiz rang bhii ashaar me’n aa saktaa thaa 
ungaliyaa’n saath to de’n Khuu’n me’n tar hone tak

chand zarro’n hi ko miltii hai ziyaa-e-Khurshiid 
chand taare hii chamakte hain sahar hone tak

dil-e-shaayar pe kuchh aisii hii guzartii hai 'figaar'
jo kisii qatare pe guzare hai gohar hone tak
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 302