donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Dilawar Figar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jadaa-E-Fan Mein Bare Sakhat Muqaam Aate Hain *
Jadaa-E-Fan Mein Bare Sakhat Muqaam Aate Hain
Mar Key Reh Jata Hai Fan-Kaar Amar Honey Tak
 
Kitane "Ghalib" They Jo Paidaa Huye Aur Mar Bhii Gaye
Qadar Danoun Ko Takhallus Ki Khabar Hone Tak
 
Kitane "Iqabal" Rah-E-Fiker Mein Uthey Lekin
Raastaa Bhool Gaye Khatam-E-Safar Hone Tak
 
Kitane "Shabir Hassan Khan" Na Bane "Josh" Kabhii
Mar Gaye Kitane "Sikander" Bhii "Jigar" Hone Tak
 
"Faiz" Rang Bhi Ashaar Mein Aa Sakataa Thaa
Ungaliyaan Saath Tou Dayein Khoon Mein Tar Hone Tak
 
Ch'nd Zar'roon Hi Ko Milti Hai Ziyaa-E-Khurshiid
Ch'nd Taare Hii Chamaktey Hain Sahar Hone Tak
 
Dil-E-Shaa'yar Pe Kuchh Aisi Hi Guzarati Hai 'Figaar'
Jo Kisi Qatarey Pey Guzare Hai Gohar Hone Tak
 
Poet : Dilawar Figaar
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 336