donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Dilawar Figar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aaj hum kuch iss tarah rozey ko bahlaate rahey *
Aaj hum kuch iss tarah rozey ko bahlaate rahey
chey baje se nau baje tak ghusl farmate rahey

nau baje akhbar ke daftar mein pahunche aur wahan
mustaed kaatib se ghazlein apni likhwaate rahey

dus baje ghar aake taaza ik ghazal takhleeq ki
zehn mein taaza khayal aate rahey jaate rahey

gyarah se do tak rahe ek dost ke ghar par jahan
jaanbalab misroun ke laashe uss se uthwaate rahey

do baje television station aaye aur wahan
har producer ko apni shakL dikhlaate rahey

teen per meteorology ke eik maahir se mile
shahr ke mausam ka zikre e khair farmaate rahey

char se chai tak rahe bazaar mein haazir jahan
taaza mewuun per nigaah e paak daurhate rahey

khurma o garma, pakorhe, aam, kelaa, daalmot
aik dastarkhwan per yeh maal chunwaate rahey

phal yeh jitni deir dastarkhwan per rakkhe rahey
hum tasawwur mein iss iftaari ka gham khaate rahey

eik ghanta apna iss surat se guzra hai ke hum
cheel ki maanind iftaari pa mandlaate rahey

saat baj kar bees per di ek muazzin ne azaan
woh azaan alfaaz jiske dil ko garmaate rahey

sun ke aawaz e azaan phir ghair iradi taur per
haath khudd barhkar plaitoN ki taraf jaate rahey

hum ko laahaq ho gai fikr e dinner baad e namaaz
nau baje khaane ko baithe raat bhar khate rahey

Dilawar Figar
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378