donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Dr. Fareed Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ghar meiN yak-tarfa jo ye deevaar hai mere liye *

GHAZAL 


Ghar meiN yak-tarfa jo ye deevaar hai mere liye
bhayiyoN ka kis qadar eesaar hai mere liye

chaak dil , chaak-e-jigar, afsurdagi, suada-e-sar
lamha lamha zindagi dushwar hai mere liye

khil rahye hain har nafas me teri yaadoN ke kaNwal
zindagi meri gul-e-gulzaar hai mere liye

tera har sooraj hai meri zindagi ka saayebaaN
tera har aatash-kadah gulzar hai mere liye

quwwat-e-bardasht ka mehvar mujhe samjho Fareed
dushmanoN ki warna ek yalghar hai mere liye

———————


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 318