* Laila ki thi sada mere dildaar-Alvida *
Laila ki thi sada mere dildaar-Alvida
Akbar shabihe Ahmad-e-Mukhtar-Alvida
Ab maa hai aur kufe ka bazar-Alvida
Main haal poochchti hun batate nahi zara
Maan sadqe jaye aisi bhi narazgi hai kya
Kaisa hai zakhm dard thama ya nahi thama
Sunti hun mai ke barchchi hui thi jigar ke paar
Akbar shabihe..........................................alvida
Sharminda hun ke goro kafan kuch nahi mila
Par kya karun ke khud mere sar par nahi rida
Kis ko tumhe mai saunpun k kunba to lut chuka
Sajjad hain to kheenchte hain bediyon ka baar
Akbar shabihe............................................alvida
Kab maan ye chahti hai pisar jang main lade
Kho kar jawan laal ko kis maan ko kal pade
Par kya karun k ghar main faqat the tumhi bade
Tanha the Sheh ghash aate the Abid ko baar baar
Akbar shabihe.............................................alvida
Qasim hain ab na Aun-o-Mohammad se janisar
Laute nahi tarai se Abbas-e-naamdar
Khidmat main Sheh ki rehna tumhi mere gulozaar
Tanha na chchodna unhe ek pal bhi maan nisar
Akbar shabihe................................................alvida
Beta tumhare baap bahot thak k soye hain
Ji khol kar lade hain na ji bhar k roye hain
Din bhar to kal azazon k laashe hi dhoye hain
Apne badan pe khaye hain kuch teer beshumaar
Akbar shabihe................................................alvida
Maqtal main "Naseem" qayamat ka tha sama
Ek bibi qatlgaah main laashon k darmiyan
Bikhre the sab azizon k laashe yahan wahan
Chillati thi k aake karate nahi sawar
Akbar shabihe.................................................alvida
Ab maan hai aur kufe ka bazar-alvida.
|