donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ehsaan Danish
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Purasish-e-Gham kaa shukriyaa, kyaa tujhe aagahii nahi’in *
Purasish-e-Gham kaa shukriyaa, kyaa tujhe aagahii nahi’in 
tere baghair zindagii dard hai, zindagii nahii’n

daur thaa ek guzar gayaa, nashaa thaa ek utar gayaa 
ab vo muqaam hai jahaa’n shikvaa-e-berukhii nahii’n

tere sivaa karuu’n pasand kyaa terii qaayanaat me’n 
dono’n jahaa’n kii neamate’n, qiimat-e-bandagii nahii’n

laakh zamaanaa zulm Dhaaye, vaqt na vo Khudaa dikhaaye 
jab mujhe ho yaqii’n ki tuu haasil-e-zindagii nahii’n

dil kii shaguftagii ke saath raahat-e-mayakadaa gaii 
fursat-e-mayakashi to hai, hasarat-e-mayakashii gaii

zakhm pe zakhm khaake jii, apne lahuu ke ghuunt pii 
aah na kar, labo’n ko sii, ishq hai dillagii nahii’n

dekh ke Khushk-o-zard phool, dil hai kuchh is tarah maluul
jaise terii Khizaa’n ke baad, daur-e-bahaar hii nahii’n
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363