donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ehsan Azmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kabhi Moti kabhi laala kabhi tum maaho anjum ho *
Ghazal

Kabhi Moti kabhi laala kabhi tum maaho anjum ho
ZameeN se aasmaN tak rashke Hoorun eem bhi tum ho

Kabhi shauq e rawaadaari kabhi jazba baghaawat ka
Kabhi darya ki khaamoshi kabhi shor e talaatum ho

Tumhee ko saamne rakh kar ghazal ka but taraasha hai
mujhe aazar bana daalaa hai jisne bas tumhee tum ho

Ye zulfaiN kiyuN haiN behangam hai aaNkhoN meN nami kaisi
Bataao keya hua tumko ye kis dunya meN tum gum ho

Kaho jo tum wo sunta huN suno jo tum wo kahta huN
Tumhi baais khamoshi ka tumhi wajahe takallum ho

Mile jab tum hua maiN khush juda hokar bahot roya
Tumhi aaNsoo ho palkoN par tumhi lab par tabassum ho

Jise Ehsan keya sun kar farishte bhi machal jaaeN
Wo mooseeqi, wo shahnaaee, wo naghma, wo tarannum ho

(Dr. Ehsan Azmi)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 460