|
* Nadi se milne ka aankho'n me'n khwab zinda hai *
Nadi se milne ka aankho'n me'n khwab zinda hai,
Abhi mara nahi'n pani yeh aab zinda hai,
Mare parhe hai'n jo sahil pe fikr hai un ki,
Magar woh shakhs ke jo zere aab zinda hai,
Tumhe'n khabar hi nahi'n hai ke sach ke sahra me'n,
Misale aab abhi bhi saraab zinda hai,
Baha ke le gaya saile hawas sabhi ko magar,
Yeh khaksar, yeh Khana kharaab zinda hai,
Nadi ko sukhe huye yu'n to muddate'n guzri'n,
Magar abhi bhi yaha'n naqshe aab zinda hai,
Yeh tum se kis ne kaha tha ke mar gaya raawan
Hamare desh me'n ab bhi janab zinda hai.
1, Adarsh Colony, Kharli
Phatak, Kota-324001 (Rajasthan)
|
|