donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ejaz Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dost! Rehta hai mujhey dhyan hamesha us ka *
Dost! Rehta hai mujhey dhyan hamesha us ka
ab bhi rakhta huN maiN her cheez meiN hissa us ka

wo to khair us ke gali koochey they us ka aangan,
ho gaya gaoN ko jata hua rasta us ka...

gham ne to ailchi hi maar di'ay haiN sary,
aur hay charoN taraf sara eilaqa us ka

dil-e-khasta ki terha pehna hy khirqa jis ne,
sochty rehty haiN khush-posh saleeqa us ka

jang baqi na rahi, reh gaya janey kaisey,
merey ander kahiN jalta hua khaima us ka

ashk tasbeeh ke dany haiN, giraty rahi'ay,
kabhi moqoof na kij'ay ga wazeefa us ka

haN tare sath guzary hu'ay pal tery haiN,
haN meri umr-e-guzishta ka wo arsa us ka

ye to ham thy na hmaiN ho saka dhoka werna,
chand chehroN ne tarasha lab-o-lehja us ka

wo to kuch tujh se rah-o-rasm nikal aaei hay,
kis ko raas aata hay aafat-zada khitta us ka

--------------------------
Poet: Ejaz Shakir
--------------------------
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374