donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiyaz Hashmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hame’n koii Gham nahii’n thaa Gham-e-aashiqii se pahle *
Hame’n koii Gham nahii’n thaa Gham-e-aashiqii se pahle
na thii dushmanii kisii se terii dostii se pahle

hai ye merii badanasiibii teraa kyaa qasuur is me’n
tere Gham ne maar Daalaa mujhe zindagii se pahle

meraa pyaar jal rahaa hai ai chaand aaj chhup jaa
kabhii pyaar thaa hame’n bhii terii chaandni se pahle

mai’n kabhii na muskuraataa jo mujhe ye ilm hotaa
ki hazaaro’n Gham milenge mujhe ik Khushii se pahle

ye ajiib imtehaa’n hai ki tumhii ko bhuulanaa hai
mile kab the is tarah ham tumhe’n bedilii se pahle
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 391