donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chand roz aur merii jaan faqat chand hii roz *
Chand roz aur merii jaan faqat chand hii roz 
zulm kii chhaanv me’n dam lene par majbuur hai’n ham

ik zaraa aur sitam sah len tadap le’n ro le’n 
apne ajdaad kii miiraas hai maazuur hai’n ham

jism par qaid hai jazbaat pe zanjiire hai 
fikr mahbuus hai guftaar pe taaziire’n hai’n 

aur apanii himmat hai ki ham phir bhii jiye jaate hai’n
zindagii kyaa kisii muflis kii qabaa hai 

jis me’n har ghadii dard ke paiband lage jaate hai’n
lekin ab zulm kii miyaad ke din thode hai’n 

ik zaraa sabr ki fariyaad ke thoDe hai’n
arsaa-e-dahar kii jhulasii huii viiraanii me’n

ham ko rahnaa hai par yuu’n hii to nahii’n rahnaa hai
ajnabii haatho’n kaa benaam garaan-baar sitam 

aaj sahanaa hai hameshaa to nahi’n sahanaa hai
ye terii husn se lipatii huii aalaam kii gard 

apnii do rozaa javaanii kii shikasto’n kaa shumaar 
chaandanii raato’n kaa bekaar dahkataa huaa dard 

dil kii besuud tadap jism kii maayuus pukaar
chand roz aur merii jaan faqat chand hii roz
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 443