donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jamegii kaise bisaat-e-yaaraaN ke shiisha-o-jaam bujh gaye haiN, *
Jamegii kaise bisaat-e-yaaraaN ke shiisha-o-jaam bujh gaye haiN,
sajegii kaise shab-e-nigaaraaN ke dil sar-e-shaam bujh gaye haiN,
(bisaat-e-yaaraaN : gathering of friends; shiisha-o-jaam : goblet and the glass; shab-e-nigaaraaN : the beautiful night)
vo tiirgii hai rah-e-butaaN meN chiraaGh-e-ruKh hai na shamma-e-vaadaa,
kiran ko’ii aarzuu kii laao ke sab dar-o-baam bujh gaye haiN,
bahut sambhaalaa vafaa kaa paimaaN magar vo barsii hai ab ke barkhaa,
har aik iqraar miT gayaa hai tamaam paiGhaam bujh gaye haiN,
qariib aaye mai-e-shab-e-Gham, nazar pe khultaa nahiiN kuch is dam,
ke dil pe kis kis kaa naqsh baaqii hai, kaun se naam bujh gaye haiN,
(mai-e-shab-e-Gham : wine of the night of suffering; naqsh : footprints)
bahaar ab aa ke kyaa karegii ke jin se thaa jashn-e-rang-o-naGhmaa,
vo gul sar-e-shaaKh jal gaye haiN, vo dil tah-e-daam bujh gaye haiN,
(jashn-e-rang-o-naGhmaa : festival of the color and songs; sar-e-shaaKh : on the branch
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 663