donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho *
Mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho
jis ghaRii raat chale,
aasmaanoN kaa lahuu pii kar siyaah raat chale,
marham-e-mushk liye nashtar-e-almaas chale,
bain kartii hu’ii, haNstii hu’ii, gaatii nikle,
dard ke kaasnii paazeb bajaatii nikle,
jis ghaRii siinoN meN Duubte hu’e dil
aastiinoN meN nihaaN haathoN kii rah takne lagiiN
aas liye,
aur bachchoN ke bilakhne kii tarah qul-qul-e-mai,
bahr-e-naasuudgii machle to manaaye na mane,
jab ko’ii baat banaaye na bane,
jab na ko’ii baat chale
jis ghaRii raat chale,
jis ghaRii maatamii, sun-saan, siyaah raat chale
paas raho,
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho !
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 416