donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Maine samjhaa thaa ke tuu hai to daraKhshaaN hai hayaat, *
Maine samjhaa thaa ke tuu hai to daraKhshaaN hai hayaat,
teraa Gham hai to Gham-e-dah’r kaa jhagRaa kyaa hai,
terii suurat se hai aalam meN bahaaroN ko sabaat,
terii aaNkhoN ke sivaa duniyaa meN rakhaa kyaa hai,
tuu jo mil jaaye to taqdiir niguuN ho jaaye,
yuuN na thaa maiN ne faqat chaahaa thaa yuuN ho jaaye,
aur bhii dukh haiN zamaane meN muhabbat ke sivaa,
raahateN aur bhii haiN vasl kii raahat ke sivaa,
mujh se pahlii sii muhabbat merii mahbuub na maaNg,
anginat sadiyoN ke taariik bahimaanaa talism,
resham-o-atlas-o-kam-Khvaab meN bunvaaye hu’e,
jaa-ba-jaa bikte hu’e kuuchaa-o-baazaar meN jism,
Khaak meN lithaRe hu’e Khuun meN nahlaaye hu’e,
lauT jaatii hai udhar ko bhii nazar kyaa kiijiye,
ab bhii dil-kash hai teraa husn magar kyaa kiijiye,
aur bhii dukh haiN zamaane meN muhabbat ke sivaa,
raahateN aur bhii haiN vasl kii raahat ke sivaa,
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 406