donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bahaar aa’ii to jaise yak baar, *
Bahaar aa’ii to jaise yak baar,
lauT aaye haiN phir adam se,
vo Khvaab saare, shabaab saare,
jo tere hoNtoN pe mar miTe the,
jo miT ke har baar phir jiiye the,
nikhar gaye haiN gulaab saare,
jo terii yaadoN se mushk-buu haiN,
jo tere ushshaaq kaa lahuu haiN,
ubal paRe haiN azaab saare,
malaal-e-ahvaal-e-dostaaN bhii,
Khumaar-e-aaghosh-e-mahvashaaN bhii,
Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
tere hamaare,
savaal saare, javaab saare,
bahaar aa’ii to khul gaye haiN,
naye sire se hisaab saare.
Faiz Ahmed Faiz
April 1975
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 442