donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sunne ko bhiiR hai sar-e-mahshar lagii hu’ii, *
Sunne ko bhiiR hai sar-e-mahshar lagii hu’ii,
tohmat tumhaare ishq kii hum par lagii hu’ii,
(mahshar : day of judgment; tohmat : accusation)
rindon ke dam se aatish-e-mai ke baGhair bhii,
hai maikade meN aag baraabar lagii hu’ii,
(rind : one who is intoxicated; aatish : fire)
aabad kar ke shahr-e-KhaamoshaaN har ek suu,
kis khoj meN hai teGh-e-sitamgar lagii hu’ii,
(shahr-e-KhaamoshaaN : the silent city; teGh-e-sitamgar : sword of the oppressor)
jiite the yuuN to pahle bhii hum jaan pe khel kar,
baazii hai ab ke jaan se baRh kar lagii hu’ii,
aakhir ko aaj apne lahuu par hu’ii tamaam,
baazi miyaan-e-qaatil-o-Khanjar lagii hu’ii,
(miyaan-e-qaatil-o-Khanjar : between the killer and the dagger)
lao to qatl-naamaa meraa, maiN bhii dekh luuN,
kis kis kii mohar hai sar-e-mahzar lagii hu’ii,
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 406