donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Is tarah hai ke har ek peR ko’ii mandir hai, *
Is tarah hai ke har ek peR ko’ii mandir hai,
ko’ii ujRaa huaa, benuur puraanaa mandir,
DhuunDtaa hai jo Kharaabii ke bahaane kab se,
chaak har baam, har ek dar kaa dam-e-aaKhir hai,
aasmaaN ko’ii purohit hai jo har baam tale,
jism par raaKh male, maathe pe sinduur male,
sar-niguuN baithaa hai chup-chaap na jaane kab se,
is tarah hai ke pas-e-pardaa ko’ii saahir hai,
jis ne aafaaq pe phailaayaa hai yuN seh’r ka daam,
daaman-e-vaqt se paivast hai yuN daamna-e-shaam,
ab kabhii shaam bujhegii na andheraa hogaa,
ab kabhii raat Dhalegii na saveraa hogaa,
aasmaaN aas liye hai ke ye jaaduu TuuTe,
chup ki zanjiir kaTe, vaqt kaa daaman chute,
de ko’ii shanKh duhayii, ko’ii paayal bole,
ko’ii but jaage, ko’ii saaNvlii ghuuNGhat khole,
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 412