donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dasht-e-tanhaii mein ai jaan-e-jahaaN larzaaN hain, *
Dasht-e-tanhaii mein ai jaan-e-jahaaN larzaaN hain,
teri aawaaz ke saaye, tere hontoN ke saraab,
dasht-e-tanhaii mein doori ke khas-o-khaak kitne,
khil rahe hain tere pehloo ke saman aur gulaab,
uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki aanch,
apni khushboo se sulagti madham madham,
door ufqaar chamakti hui qatraa qatraa,
khil rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam,
kis qadar pyaar se ai jaan-e-jahaan rakha hai,
dil ke rukhsaar pe is waqt teri yaad ne haath,
yun gumaaN hota hai garche abhi subh-e-firaaq,
dhal gaya hijr ka din, aa bhi gayi wasl ki raat,
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 438