|
* Chashm-e-mayagu'n zara idhar kar de, *
Chashm-e-mayagu'n zara idhar kar de,
Dast-e-Qudrat ko be-asar kar de,
Tez hai aaj dard-e-dil saaqii,
TalKhi-e-may ko tez-tar kar de,
Josh-e-vahshat hai tishnaakaam abhii,
Chaak-e-daaman ko taazagaar kar de
Merii qismat se khelne vaale,
Mujh ko qismat se beKhabar kar de,
LuT rahii hai merii mataa-e-niyaaz,
Kaash! vo is taraf nazar kar de,
`Faiz` takmiil-e-aarazuu maaluum,
Ho sake to yu'n hee ba asar kar de. |
|