|
* Bahut milaa na milaa zindagii se Gham kyaa hai, *
Bahut milaa na milaa zindagii se Gham kyaa hai,
Mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai,
Ham ek umr se vaaqif hai'n ab na samajhaao,
Ke lutf kyaa hai mere meharabaa'n sitam kyaa hai,
Kare na jag mei'n alaav to sher kis maqasad,
Kare na shahar mei'n jal-thal to chashm-e-nam kyaa hai,
Ajal ke haath ko_ii aa rahaa hai paravaanaa,,
Na jaane aaj kii feharist mei'n raqam kyaa hai
Sajaao bazm Ghazal gaao jaam taazaa karo,
Bahut sahii Gham-e-getii sharaab kam kyaa hai,
Lihaaz mein koi kuchh duur saath chalataa hai,
Vagarnaa dahar mei'n ab Khizr kaa bharam kyaa hai.
|
|