donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aaiiye haath uthaaye’n ham bhii *
Aaiiye haath uthaaye’n ham bhii 
ham jinhe’n rasm-e-dua yaad nahii’n 

ham jinhe’n soz-e-mohabbat ke siwaa 
koii but, koii Khudaa yaad nahii’n

aaiiye arz guzare’n ki nigaar-e-hastii 
zahar-e-imroz me’n shiiriinii-e-fardaan bhar de

wo jinhe’n tabe garaanbaarii-e-ayyaam nahii’n 
unkii palako’n pe shab-o-roz ko halkaa kar de

jin’kii aankhon ko rukh-e-subh kaa yaaraa bhii nahii’n
unkii raato’n me’n koii shamaa munawwar kar de 

jinake qadamon ko kisii rah kaa sahaaraa bhii nahiin 
unakii nazaron pe koii raah ujaagar kar de

jinakaa diin pairavii-e-kazbo-riyaa hai unako 
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiiq mile 

jinke sar muntazir-e-tegh-e-jafaa hai’n unko 
dast-e-qatil ko jhatak dene kii taufiiq mile

ishq kaa sarr-e-niha’n jaan-tapaan hai jis se 
aaj iqaraar kare’n aur tapish miT jaaye 

harf-e-haq dil me’n Khatakataa hai jo kante kii tarah
aaj izahaar kare’n or Khalish mit jaaye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 421