donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Gulo’n me’n rang bhare, baad-e-naubahaar chale *
Gulo’n me’n rang bhare, baad-e-naubahaar chale 
chale bhii aao ki gulshan kaa karobaar chale

qaffas udaas hai yaro, sabaa se kuchh to kaho 
kahii’n to bahr-e-Khudaa aaj zikr-e-yaar chale

kabhii to subh tere kunj-e-lab se ho aaghaaz 
kabhii to shab sar-e-kaakul se mushk baar chale

badaa hai dard kaa rishtaa, ye dil Ghariib sahii 
tumhaare naam pe aayenge Gham gusaar chale

jo ham pe guzrii so guzrii magar shab-e-hijraa’n
hamaare ashk terii aaqabat sanwaar chale

huzoor-e-yaar huii daftar-e-junuun kii talab 
girah me’n leke garebaan kaa taar taar chale

maqaam 'Faiz' koii raah me’n jachaa hii nahii’n 
jo kuu-e-yaar se nikale to suu-e-daar chale
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 402