donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ham ke Thahare ajnabii itne madaa raato’n ke baad *
Ham ke Thahare ajnabii itne madaa raato’n ke baad 
phir banenge aashnaa kitnii mulaaqaato’n ke baad

kab nazar me’n aayegii bedaagh sabze kii bahaar 
Khuun ke dhabbe dhule’nge kitnii barasaato’n ke baad

dil to chaahaa par shikast-e-dil ne mohalat hii na dii 
kuchh gile-shikave bhii kar lete munaajaato’n ke baad

the bahut bedard lamhe’n Khatm-e-dard-e-ishq ke 
thii’n bahut bemahar subahe’n meharabaa’n raato’n ke baad

un se jo kahne gaye the "Faiz" jaan sadaqaa kiye 
ankahii hii rah gaii vo bat sab baato’n ke baad
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 516