donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aa ke wabasta hai us husn ki yaadein tujh se *
Aa ke wabasta hai us husn ki yaadein tujh se
Jis ne is dil ko pari-khana bana rakha tha
Jis ki ulfat mein bhula rakhi thi humne duniya
Dehar ko dehar ka afsana bana rakha tha

Aashna hai tere qadmon se wo rahein jin par
Uski madhosh jawani ne inayat ki hai
Kaarvaan quzre hain jin se usee ra'naaee ke
Jis ki in aankhon ne be-sood ibadat ki hai

Tujhse kheli hai wo mehboob hawayn jin mein
Uske malboos ki afsurda mahek baqi hai
Tujh pe barsa hai uss baam se mehtaab ka noor
Jis mein beeti huwee raaton ki kasak baqi hai

Tune dekhi hai wo peshani ,wo rukhsaar wo hont
Zindagi jis ke tasavvur mei luuta di humne?
Tujh pe uthee hain wo khoyee huwi saahir aankhein
Tujhko maloom hai kyun umr gan'wa di hum ne

Hum pe mushtarka hain ehsaan gham-e-ulfat ke
Itne ehsaan ke ginwaun to ginwa na sakun
Humne is ishq mei kya khoya hai kya seekha hai
Juz tere, aur ko samjhaun toh samjha na sakun...

.......................................................Faiz Ahmed Faiz

Word Meanings:~

Raqeeb - Competitor in love
Wabasta - Connected, Related
Dehar - World
Aashna - Aquainted
Raanai - Beauty
Besood - Useless, Worthless
Malboos - Clothes
Afsurda - Sad
Mahtaab - Moon
Peshani - Forehead
Rukhsaar - Cheeks
Tasavvur - Imagination
Sahir - Magician
Juz - Other than
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 906