donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* huii hai hazrat-e-naaseh se guftguu jis shab *
huii hai hazrat-e-naaseh se guftguu jis shab
voh shab zaruur sar-e-kuu-e-yaar guzrii hai

viiraan hai maikadaa khum-o-saaGar udaas haiN
tum kyaa gaye ki ruuTh gaye din bahaar ke


uTh kar to aa gaye haiN terii bazm se magar
kuchh dil hii jaanta hai kis dil se aaye haiN

voh baat saare fasaane meN jiskaa zikr nahiiN
voh baat unko bohat naagavaar guzrii hai

dil meN ab yuuN tere bhuule hue Gham aate haiN
jaise bichhDe hue Kaabe meN sanam aate haiN

duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
tujh se bhii dil-fareb haiN gham rozgaar ke

tumhaarii yaad ke jab zaKhm bharne lagte haiN
kisii bahaane tumheN yaad karne lagte haiN
*******


 
Comments


Login

You are Visitor Number : 443