donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faiz Ahmed Faiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dil naa-ummiid to nahiiN, naakaam hii to hai *
dil naa-ummiid to nahiiN, naakaam hii to hai
lambi hai Gham kii shaam magar shaam hii to hai

raat yuuN dil meN terii khoii huii yaad aaii
jaise viiraane meN chupke se bahaar aa jaaye

jaise sahraaoN meN haule se chale baad-e-nasiim
jaise biimaar ko be-vajah qaraar aa jaaye

mataa-e-lauH-o-qalam chhin gayii to kyaa Gham hai 
ki khuuN-e-dil meN Dubo lii haiN ungliyaaN maiN ne 

zubaaN par mohar lagii hai to kyaa ki rakh dii hai
har halqa-e-zanjiir meN zubaaN maiN ne

-------

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 554