donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fakhira Batool
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* HO GAYII UN SE MULAQAAT GHARHI BHAR KE LIYE, *
HO GAYII UN SE MULAQAAT GHARHI BHAR KE LIYE,
AANKHO'N AANKHO'N MEI'N HUI BAAT GHARHI BHAR KE LIY,
ZINDAGI BHAR KE LIYE JEET PARAYII THAHRI,
HAMNE SOCHA THAA HUI MAAT GHARHI BHAR KE LIYE,
AISA MAHSOOS HUA DOO NE AKAAYEE CHHOO LI,
HO GAYII ZAAT MEI'N GUM ZAAT GHARHI BHAR KE LIYE,
UMAR BHAR KE LIYE KAANTO'N NE PAZEERAYI KI,
IN GULAABO'N NE DIYA SAATH GHARHI BHAR KE LIYE,
MAHU, RAQSAA'N RAHA PAIRO'N KE TALE NEEL GAGAN,
US NE HAATHO'N MEI'N LIYA HAATH GHARHI BHAR KE LIYE,
RAASTA JISKA KAYII SADIYO'N SE DEKHA THAA "BATOOL",
AA KE THAHRI NA WOHI RAAT GHARHI BHAR KE LIYE.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 341