donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fakhira Batool
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* AIK CHEEKH ABHI TAK BAQI HAI *
Aik cheekh abhi tak baqi hai,
Tum saat samunder paar gaye,
To aise laga ke sato’n sadiya’n beet gayii’n,
Aa aa kar mausam milne ke,
Bala aakhir thak kar laut gaye,
Kuchh logo’n ne nashter ugley,
Kuchh apno’n ne behaal kiya,
Kuchh hijar ki lambi aur kaali,
Rato’n ne hame’n nidhaal kiya,
Ehsas ke ghao gahre they,
Koi deed bhi unko bhar na saka,
Kuchh khwab ke bojhal manzar they,
Jaage to kuchh bhi paas na tha,
Behtar tha nahi hote hamlog,
Yeh hona ham ko raas na tha,
Kuchh mat poochho,
Is arse mei’n kya kya na hua,
Kya kya na suna…. Kya kya na saha,
Tha kitni chhagal paani jo,
Naino’n se barso’n tak barsa,
Lekin deeware’n seene ki,
Ab bhi aksar hil jati hai’n,
Yo’n lagta hai, yeh kahti hai’n,
Tum ander jhaanko to jaano,
Aik cheekh abhi tak baqi hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368