donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fakhira Batool
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* WOH MERA KAUN LAGE HAI ? *
Yeh woh jazba hai jo dil ke neha’n khane mei’n jab utre,
To andhiyaro’n mei’n goya raushni bharde,
Agar miTTi ko chhoole To use rahke qamar karde,
Yeh TapTi dhoop ko pal mei’n ghata karde,
Yeh khwahish ko dua karde,
Yeh dharhkan ko sada karde,
Kisi bhi aam jazbe ko wafa karde,
Dukho’n se maawra karde,
Yeh jab chahe badan mei’n rooh phoonke aur jab chahe reha karde,
To soncho’n kis tarah mujhko nahi aur ik is shae ka,
Mujhe ehsas hai Janaa’n~
Mujhe iska yaqee’n bhi hai,
“Tumhe’n mujh se mohabbat hai”,
Koi To hai lahu mei’n jo machalTa hai,
Jo in soncho’n mei’n palta hai, anokhi chal chalta hai,
Jo is sawan ki bochharo’n mei’n mere saath jalta hai,
Khayalo khwab ki lahro’n pe mere sath chalta hai,
Mere ander hi ander ghaat si goya lagata hai,
Mujhe be khud banaTa hai,meri palke’n jhukaTa hai,
Woh mujh ko khud baTaTa hai,
Ke sadiyo’n ki musafat per koi rah kar,
Rage jaa’n se bhi aage hai,
Mujhe soche hai mere saath jage hai,
Zara baTlao To JAANA”N !
WOH MERA KAUN LAAGE HAI.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 375