donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fakhira Batool
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Woh mujhse poochha hai aaj Tumne *
Woh mujhse poochha hai aaj Tumne,
Ke mai’n Tumhara hoo’n kya batao…?
Tum khud hi socho,Tum aik pal ko,
Bhala mai’n kaise Tumhe’n batayu’n..?
Hai mera Tum se wahi Ta’aluq,
Jo apne saaye se hai shajar ka,
Wohi jo khurshid se qamar ka,,
Kisi ki aankho’n ke mast doro’n se,
Us ke mahboob ki jhalak ka,
Gulo’n se hota hai jo mahak ka,
Mai’n hoo’n badan To tum uski jaa’n ho,
Lahu ki surat meri rago’n mei’n,
Har aik lamhe rawa’n dawa’n ho,
Namaz hoo’n mai’n To tum azaa’n ho,
Makeen hoo’n mai’n To tum makaa’n ho,
Zamee’n hoo’n mai’n To tum aasma’n ho,
Wohi Ta’aluq,
Jo rooh se hai kisi badan ka,
Jo baaghba’n se kisi chaman ka,
Hai guftagu se kisi dahan ka,
Jo baarisho’n ka zameen se hai,
Ibadato’n ka jabeen se hai,
Tum hi baharo’n ki dilkashi ho,
Tum hi To aankho’n ki raushni ho,
Tum hi ujala Tum hi saba ho,
Tum hi aarzu Tum hi wafa ho,
Wohi Ta’aluq,
Samundaro’n ka jo seep se hai,
Wohi jo baati ka deep se hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 335