* Main din dhalta,main shaam piya *
Main din dhalta,main shaam piya
Mera jeewan kitna aam piya
Mere charon or hawayen hain
Main rait pe likkha naam piya
Hain kaun Sakhi Hai kaun khara
Mujhe logon se kya kaam piya
Meri laaj hawa ko mat dena
Mat kar dena badnam piya
Tera naam likha har boote par
aur main sehra gumnam piya
Meri ankhiyon men kuchh der theher
Jhat kar le too aaraam piya
Is man ka mol nahin moorakh
Na maal dikha na daam piya
Tu harjaai hai azlon se
Mat de mujh ko ilzam piya
Koi waidh bula de jaldi se
Kyun dikhta hai har gaam piya
******** |