donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fakhira Batool
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aankho’n kay is shahr mei’n dhoondo, *
Aankho’n kay is shahr mei’n dhoondo,
Un aankho’n ko,
Jin mei’n AKS tumhara jaagay,
Jhil mil chaand,sitaara jaagay,
Jin mei'n sachay payaar ka sachcha deep ho roshan,
Por Por mei’n Noor utaaray jin ka darshan,
Aankho’n kay is shahr mei’n dhoondo,
Shayed tum ko mil hi jaaye’n,
Woh aankhei’n bhi,
Lekin itna dayhaan mei’n rakhna,
Un ki khoj mei apni aankhei’n bhool na jana.
Haa'n mera koi dosh nahi,
Haa'n us ney khwab dikhaya tha,
Phir torh kay zulm bhi dhaaya tha,
Ashko'n ki maala tooti tou,
Seenay ka kaasa bharta gaya,
Jis pal sooraj ki aankh lagi,
Bin agni kay,koi jalta gaya,
Har samt hi khoon ki holy hai,
Yaha'n sb ki khaali jholy hai,
Koi samjhay kis ki baat yaha’n?
Yaha'n sab ki apni boli hai,
Har samt hi aapa dhaapi hai,
Man paapi hai..........
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 386