donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fani Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Har nafs umr-e-guzashta ki hai maiyyat Fani *

Har nafs umr-e-guzashta ki hai maiyyat Fani
Zindagi naam hai mar mar jiye jaane ka

Dayaar-e-umr mein ab qaht-e-mehr hai Fani!
Koi ajal ke siva mehrbaan nahi milta

Dard de kar dil-e-Fani ko mita dena tha
Is haqiqat ko bhi afsana banaya hota

Uth kar chale to hashr bhi uthna tha kya zarur
Unki gali se madfan-e-Fani to door tha

Kya yeh Fani kar raha tha alam-e-hasti ki sair
Aage aage bekhudi thi peeche peeche hosh tha

Haan aap kisi ko yun barbaad nahi karte
Yeh Fani-e-nakarah sach hai isi qaabil tha

Dil mein Fani ek na ek hangama barpa hi raha
Shauq tha jab tak kisi ke shauq ke mataam ka

Ghabra gaya khird ki tareekhiyon se Fani
Ae noor-e-ishq dil ki gehraiyon mein bhar ja

Ehsaas-e-mohabbat hi meri maut hai Fani
Is zindagi-e-dil ne mujhe jaan se maara

Haye woh josh-e-junoon haye woh vahshat Fani
Yaad aata hai hamen haye zamana dil ka

Namuraadi had se guzri hal-e-Fani kuch na pooch
Har nafs hai ek janaazah-e-betaseer ka

Kisi ki gham ki kahaani hai zindagi Fani
Zamaana ek fasaana hai marne waalon ka

Na aayenge voh tab bhi dam nikal jayega Fani
Magar mushkil se niklega badi mushkil se niklega

Voh namurad-e-ajal bazm-e-yaas mein bhi nahi
Yahan bhi Fani awaara ka pata nahi

Kaifiyat nakami-e-dil kya kahun Fani
Dil toot gaya torh ke paiman-e-tamanna

Fani tilism-e-raaz-e-haqiqat yeh hai ke hai
Tujh par teri nigah ka parda padha hai

Dam bhi Fani kisi ke gham tak hai
Dam na hoga agar yeh gham na hoga

Ab koi aarzoo nahi Fani
Dil-e-umeedvar hi na raha

Maut jis ka hayat ho Fani
Is shaheed-e-sitam ka mataam kya

Zindagi itni hi thi jeena muqaddar hi na tha
Raaz-e-ishq-e-yaar Fani muft rusva ho gaya

Yaad hai Fani tujhe koi kahaani aur bhi
Khatam kar afsana-e-gham dil pareshan ho gaya

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 906