* Nahi’n aate mujhe heele ,mai’n makkari nahi’n karta *
Ghazal numa
Nahi’n aate mujhe heele ,mai’n makkari nahi’n karta
Yu’n dildaari nahi’n karta
Qalam se geet likhta hu’n lahu ki raushnayee se
Mai’n gul karee nahi’n karta
Watan se jis ko nisbat hai watan se jis ko raghbat hai
Wo ghaddari nahi’n karta
Hame’n to us pe hairat hai zena karo’n ki basti mai’n
Zana karee nahi’n karta
Zamana mujh se waqif hai mere zaahir se baatin se
Ada karee nahi’n karta
Agarche khamiya’n hongi magar mai’n barmala kah du’n
Seyah karee nahi’n karta
Wo ghaalib ho ke momin ho mujhe taslim hai lekin
Taraf daree nahi’n karta
|