* Kuchh keejiye jatan baba *
Kuchh keejiye jatan baba
Jalta hai watan baba
Ab Raam hi karta hai
Seeta ka haran baba
Khoya hai saraabo'n mei'n
Suraj ki kiran baba
Kyo'n aaj bhi rayej hai
Kannya ka dahan baba
Kaljug me'n nahi'n aaye
Keya Raam Lakhan baba
Sahir hai "Faraz" us ka
Jaadu hai sukhan baba
1-109,J.P. Colony , Sector-1 Amani Shah Road
Shastri Nagar, Jaipur-302016 (Rajisthan)
|