* maidaN se bhaag aaya hai dastaar bechkar *
maidaN se bhaag aaya hai dastaar bechkar
ab chudiyaN.....khareed le talwaar bechkar
karna bharosa theek hai andhaa magar na ho
rakh deNge warnaa tujh ko tere yaar bechkar
khaata rahaa kamaai ghareeboN ki loot kar
jeena bhi kya ye jeena hai kirdaar bechkar
ab chhod jeena pyaare tu ghaflat ki zindagi
rakh deNge teri saakh ko aghyaar bechkar
li raah jab taraqqi ki sab kuchh bhula diyaa
hum taajdaar ho gaye........aqdaar bechkar
mansoob jinke naam se....karte the silsilaa
eemaan aaye haiN wo khareedaar bechkar
momin agar hai kaat de Farhat! tu uska sir
khush jo hua hai mulk ko ghaddaar bechkar
**** |