donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Farhat Khan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* tere aane se bade aur chaman ki khushboo *
tere aane se bade aur chaman ki khushboo
aur har goshe se aati hai lagan ki khusboo

hoga aalam ye humeshaa se......mu'attar leikin 
kaun si shai hai jo de Un ke dahan ki khushboo

kaese us shakhs ki yaadoN ko bhulaa paayeNge
peeche jo chhod gaya apne sukhan ki khushboo

kis qadar chaap hai mitti ki.............diloN par apne
door rehkar bhi hai saNsoN me watan ki khushboo

lagti hai saari fizaa................mehki hui albeli
taaj ko milti hai jo gang o jaman ki khushboo

kis qadar rooh ko...........ehsaas sukuN hota hai
Ilm ke ghar me jab aa jaati hai fan ki khushboo

saaNs me baste itar haiN....to bahut se Farhat!
hum ko to leni hai bas apne kafan ki khushboo

*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 433