donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Farzana Khan Naina
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab se mausam aaya hai naina mein sharabi sa *
Aasman ke rangon mein rang hai sha-habi sa
Dhiyaan mein hai phir chehra eik mah-tabi sa

Phir hawa chali shayad bhole bisre khwabon ki
Dil mein utth raha hai kuch shoq aztarabi sa

Tum ajeeb qatil ho, rooh qatal kerta ho
Daaghte ho phir maatha chaand ki rakabi sa

Harf pyar kw saare aa gaye thay aankhon mein
Jab liya tha haathon mein chehra wo kitabi sa

Kaum keh gaya hai maut tootney se aa-ti hai
Phool ne bikher ke baagh ker diya gulabi sa

Manzaron ne kirnon ka perahan jo pehna hai
Meine us ka rakha hai naam aaf-tabi sa

Boond boond hoti hai rang-o-noor ki barkha
Jab se mausam aaya hai naina mein sharabi sa
******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 481