donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazil Jamili
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* sooratoN meiN , saroN meiN aurat hay *
sooratoN meiN , saroN meiN aurat hay
sab kay sab manzaroN meiN aurat hay
 
dil nasheeN heiN jo Meer kay nishtar
Meer kay nishtaroN meiN aurat hay
 
uth kay pahloo say dil naheiN lagta
koyee in dil baroN meiN aurat hay
 
baagh heiN woh bahesht kay saaray
jitnay saaray gharoN meiN aurat hay
 
heiN jo angrhayeeaaN urhaanoN meiN
koyee in bay paroN meiN aurat hay
 
mairay dushman , shikast hay mairee
jaa teray lashkaroN meiN aurat hay
 
karkhaana rijaal ka ho ga
ab jahaN daftaroN meiN aurat hay
 
ham nay bhee in butoN kee pooja kee
jab suna patharoN meiN aurat hay
 
yeh jo aasaar heiN tamadun kay
dafn in khandaroN meiN aurat hay
 
jal raha hay diya duaaoN ka
maqbaroN , mandaroN meiN aurat hay
 
phir koyee sooratun nissaa aaey
jaaduoN , mantaroN meiN aurat hay
 
rooh tak jo dawa chalee aayee
koyee chaara garoN meiN aurat hay
 
kufr mujh say sawal karta hay
koyee paighambaroN meiN aurat hay
 
meiN jawabun yeh kah naheiN sakta
kya koyee kaafaroN meiN aurat hay
 
kis kee raateiN kahaN mehaktee heiN
kon say bistaroN meiN aurat hay
 
peestay heiN jo raat din aataa
koyee in jandroN* meiN aurat hay
 
Fazil Jamili
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 449