donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazil Jamili
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Pheeki Pheeki He Sahi, Eid Magar Hae Tau Sahi *
Pheeki Pheeki He Sahi, Eid Magar Hae Tau Sahi
Pahlay Jaisi Nah Rahi, Eid Magar Hae Tau Sahi
 
Mairay Gham Ka Bhi Sabab Poochh Rahi Hae Mujh Say
Khush Nahi Nah Sahi, Eid Magar Hae Tau Sahi
 
Is Say Pahlay Bhi Kayi Zakhm Diye Hean Mujh Ko
Ik Nayi ChauT Sahi, Eid Magar Hae Tau Sahi
 
Nya Malboos Chhupa Laita Hae Janay Kya Kya
Kya Khushi , Kaisi Ghami, Eid Magar Hae Tau Sahi
 
Lay Gya Sail e Bala Eid Ki Khushyaan Laikan
Ae Gham e Dar ba Dari, Eid Magar Hae Tau Sahi
 
Eid Gahon Say Bhi Is Baar Janazay Niklay
Jeetay Jee Maar Gayi, Eid Magar Hae Tau Sahi.
 
Fazil Jamili.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 396