* tujhey chhooney ki hasrat mein *
tujhey chhooney ki hasrat mein
darakhton sey lipat kar mein
lachakti daaliyon ko choom laita hun
hawa pattey giraatii hai
to mein tujh sey bichharrney ka
woh manzar yaad karta hun
keh tu ek pairr key neechey khharrii hai
oar mein teri nazar ki
sarhadon sey door hota jaa raha hun
ek parinda phharr phharra kar urr gia hai
mein palata kar dekhta hun
gard aaluda fiza mein
kuch nazar aata nahi hai
sirf mein hun
jo mujhey aadha dekhayii dey raha hai
aor aadha kia khabar kiss bhais mein hai
dais mein hai yaa kissi pardais mein hai.
|