donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fehmida Riyaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh zard mausam ke Khushk patte *
Yeh zard mausam ke Khushk patte,
hawa jinhai'n le gai urakar,
agar kabhi in ko dekh pao,
to soch lena,
ki in main har barg ke namoo main,
ziya gaya arq shaKh-e-gul ka,
kabhi ye sarsabz konpalain the,
kabhi ye shadab bhi rahe hain,
khole huye honTh ki tarah narm aur shagufta,
bahut dino tak,
ye sabz patte,
hawa ke reloo main bebasi se tarap chuke hain.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 379