donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Rok hamko naa sake juraete izhaar se log, *
Rok hamko naa sake juraete izhaar se log,

Yeh alag baat muqabil rahe diiwaar se log

Munsalik rahte hai'n har daur mei'n darbaar se log,
Woh jo hote hai'n bazahir bade bekaar se log,

Hai faqat jurme mohabbat ka saza waar yeh dil.
Phir bhi naaraz se rahte hai mere yaar se log,

Noke shamsheer se karte hai'n raqam naamaye shauq,
Zakhme dil ke liye marham hue talwaar se log,

Kaise laaye koi us husne jaha'n Taab ki Taab,
Saath jis ke rahei'n kuch aina bardaar se log,

Sach to yeh hai ke woh khud apna urhaate hai'n mazaq,
Khelte rahte hai'n auro'n ki jo dastaar se log,

Kis qadar zulm hai ik mulk ki taskheer ke saath,
Dil bhii taqseem kiya karte hai'n Talwaar ke saath,

Too ke jis din se qaneele rahe ashshaq hua,
Faal lene lage Khusro Tere ashaar se log.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 366